ojhal hun nigahon se magar dil mein paDe ho
laila ki tarah kaun se mahmil mein paDe ho
dar-parda sahi sehr-e-nazara ke asar se
sau tarah se tum dida-e-ghafil mein paDe ho
khulne lage asrar-e-wafa dida-o-dil par
jis din se gham-e-hijr ki mushkil mein paDe ho
aawargi-e-dil bhi gai qaid-e-wafa bhi
jis din se mohabbat ke salasil mein paDe ho
har lahza badalti hui duniya ke makino
kya jaaniye tum kaun si manzil mein paDe ho
kis jurm ki tazir ye kis Dhab ki saza hai
lazzat-kash-e-tanhai ho mahfil mein paDe ho
kis tarah na fariyaad ka phailaen ye daman
tum gul ho ki har KHwab-e-anadil mein paDe ho
manzil ki talab sath hi sargarm-e-safar hai
dariya ho magar halqa-e-sahil mein paDe ho
har shai mein nazar aata hai KHud apna hi chehra
aaine ke tum jaise muqabil mein paDe ho
kahta hai 'nadim' aaj mujhe dida-e-bedar
tum barq ho aur KHirman-e-hasil mein paDe ho

Ghazal
Ojhal hun nigahon se magar dil mein paDe ho
Salahuddin Nadeem