ojhal hui nazar se be-baal-o-par gai hai
lafzon ki be-karani baston mein bhar gai hai
diwar-e-dil pe ab tak hum dekhte rahe hain
taswir kis ki laTki kis ki utar gai hai
us ki gali mein hum par patthar baras paDe the
jaisa guzar hua tha waisi guzar gai hai
jab DhunDte rahe the utni KHabar nahin thi
hum mein kidhar se aai duniya kidhar gai hai
bhagi thi ek hasina baghon ke shor-o-ghul se
us ki bala jawani bachchon se Dar gai hai
hai chal-chalaw kaisa kaisa hai aana-jaana
wo sham ja chuki thi ab wo sahar gai hai
sine ke bich 'saqib' aisa hai marna jina
ek yaad ji uThi thi ek yaad mar gai hai
Ghazal
Ojhal hui nazar se be-baal-o-par gai hai
Asif Saqib