اردو हिंदी
Ohde se tere hum ko bar aaya na jaega | Shaahi Shayari
ohde se tere hum ko bar aaya na jaega

Ghazal

Ohde se tere hum ko bar aaya na jaega

Qayem Chandpuri

;

ohde se tere hum ko bar aaya na jaega
ye naz hai to hum se uThaya na jaega

TuTa jo kaba kaun si ye ja-e-gham hai shaiKH
kuchh qasr-e-dil nahin ki banaya na jaega

aatish to di thi KHana-e-dil ke tain main aap
par kya KHabar thi ye ki bujhaya na jaega

hote tere muhaal hai hum darmiyan na hon
jab tak wajud-e-shaKHs hai saya na jaega

mujrim hun wo ki ek faqat roz-e-baz-purs
nama mere amal ka dikhaya na jaega

hai KHwaja aaj nam ke pichhe ye sab KHarab
ghafil ki kal nishan bhi paya na jaega

'qaem' KHuda bhi hone ko jo jaante hain nang
banda tu un ke pas kahaya na jaega