اردو हिंदी
O miyan banke hai kahan ki chaal | Shaahi Shayari
o miyan banke hai kahan ki chaal

Ghazal

O miyan banke hai kahan ki chaal

Mushafi Ghulam Hamdani

;

o miyan banke hai kahan ki chaal
tum jo chalte ho nit ye banki chaal

naz-e-raftar ye nahin dekha
hum ne dekhi hai ek jahan ki chaal

lakhon pamal-e-naz hain un ke
kaun samjhe hai in butan ki chaal

kabk ko dekh kar ye kahne laga
ye chale hai hamare han ki chaal

rakh ke shatranj-e-ghaebana-e-ishq
tum chale ek to imtihan ki chaal

tis pe dushman hamare ji ki hui
kaji-e-pel-e-asman ki chaal

'mushafi' bhar chala wo rish o barut
hue jas pir-e-na-tawan ki chaal