nur ye kis ka basa hai mujh mein
raushni had se siwa hai mujh mein
harf-e-haq ki si sada hai mujh mein
kaun ye bol raha hai mujh mein
kis ne dastak dar-e-dil par di hai
shor ye kaisa bapa hai mujh mein
roz sunta hun main hansne ki sada
kaun ye mere siwa hai mujh mein
kya milegi mere fan ki mujhe dad
kuchh ziyaada hi ana hai mujh mein
mustaqil ek khaTak ruh mein hai
KHar ban kar wo chubha hai mujh mein
aap taslim karen ya na karen
aap sa koi basa hai mujh mein
mera ham-zad hai 'tariq' sahab
jo 'zaki' ban ke chhupa hai mujh mein
Ghazal
Nur ye kis ka basa hai mujh mein
Zaki Tariq