nur se lakh iKHtilaf karo
azmat-e-mah ka e'tiraf karo
dekhna ho jo husn ghairon ka
apni aankhon se gard saf karo
dair-o-masjid mein kya milega tumhein
kucha-e-yar ka tawaf karo
zindagi mein kise mila hai sukun
gham se Dar kar na etakaf karo
soz-e-gham ka waqar hai tum se
aansuon se na tar ghilaf karo
saikDon zaKHm hain mere dil par
ab to yaro mujhe muaf karo
maslahat-kesh waqt hai 'wahid'
apni fitrat ke tum KHilaf karo
Ghazal
Nur se lakh iKHtilaf karo
Wahid Premi