nur ki kiran us se KHud nikalti rahti hai
waqt kaTta rahta hai raat Dhalti rahti hai
aur zikr kya kije apne dil ki haalat ka
kuchh bigaDti rahti hai kuchh sambhalti rahti hai
zehn ubhaar deta hai naqsh haal o mazi ke
in dinon tabiat kuchh yun bahalti rahti hai
tah-nashin maujen to pur-sukun rahti hain
aur sath-e-dariya ki mauj uchhalti rahti hai
chahe apne gham ki ho ya gham-e-zamana ki
baat to bahar-surat kuchh nikalti rahti hai
zindagi hai nam us ka tazgi hai kaam us ka
ek mauj-e-KHun dil se jo ubalti rahti hai
kaif bhi hai masti bhi zahr bhi hai amrit bhi
wo jo jam-e-saqi se roz Dhalti rahti hai
aaj bhi buri kya hai kal bhi ye buri kya thi
is ka nam duniya hai ye badalti rahti hai
hoti hai wo sheron mein munakis kabhi 'ejaz'
muddaton ghuTan si jo dil mein palti rahti hai
Ghazal
Nur ki kiran us se KHud nikalti rahti hai
Ejaz Siddiqi