اردو हिंदी
Nur-e-mah ko shab tah-e-abr-e-tunak kya laf tha | Shaahi Shayari
nur-e-mah ko shab tah-e-abr-e-tunak kya laf tha

Ghazal

Nur-e-mah ko shab tah-e-abr-e-tunak kya laf tha

Mamnoon Nizamuddin

;

nur-e-mah ko shab tah-e-abr-e-tunak kya laf tha
baal us mukhDe se uTh jate to matla saf tha

safi dil-ghazand ki kya thi dam-e-bos-o-kanar
bose ko mushkil Thaharna sine se ta naf tha

ek nigah ka dur se bhi aaj kal mahrum hai
dil ki tera muddaton KHu-karda-e-altaf tha

ho dar-e-mai-KHana par be-duKHt-e-raz baiThe hue
hazrat-e-'mamnun' yahi kya shewa-e-ashraf tha