اردو हिंदी
Nur-e-haq be-hijab ishq-allah | Shaahi Shayari
nur-e-haq be-hijab ishq-allah

Ghazal

Nur-e-haq be-hijab ishq-allah

Alimullah

;

nur-e-haq be-hijab ishq-allah
yaad-e-dilbar sharab ishq-allah

mi mohabbat ke aasman pe zuhur
partaw-e-aftab ishq-allah

jab dikhata hai rab jamal apna
dekh le be-naqab ishq-allah

ishq mein dil-ruba ke ai zahid
sar-nigun shaiKH-o-shab ishq-allah

bazm-e-lahut mein sun ai darwesh
hai sada-e-rubab ishq-allah

jo suna hai sada-e-sar-nigun
wo che paya shitab ishq-allah

ishq ka josh dil ke dariya mein
bolta har habab ishq-allah

faiz murshid sun mustafiz hua
dil sun paya janab ishq-allah

bol is ka jawab alimullah
jo kaha hai turab ishq-allah