nutq palkon pe sharar ho to ghazal hoti hai
aastin aag se tar ho to ghazal hoti hai
hijr mein jhum ke wijdan pe aata hai nikhaar
raat suli pe basar ho to ghazal hoti hai
koi dariya mein agar kachche ghaDe par taire
sath sath is ke bhanwar ho to ghazal hoti hai
muddat-e-umr hai matlub riyazat ke liye
zindagi bar-e-digar ho to ghazal hoti hai
lazmi hai ki rahen zer-e-nazar ghaib o huzur
donon aalam ki KHabar ho to ghazal hoti hai
qab qausain ki arman-e-payambar ki qasam
husn chilman ke udhar ho to ghazal hoti hai
hath lagte hain falak hi se mazamin 'afzal'
dil mein jibril ka par ho to ghazal hoti hai
Ghazal
Nutq palkon pe sharar ho to ghazal hoti hai
Sher Afzal Jafri