nusKHe mein tabibon ne likha aur hi kuchh hai
bimar-e-mohabbat ki dawa aur hi kuchh hai
aghyar se thin mere satane ki salahen
aur main ne jo puchha to kaha aur hi kuchh hai
kahte hain wo ghabra ke mujhe dekh ke ghash mein
mar jaenge ye in ko hua aur hi kuchh hai
mange koi daulat koi izzat koi jannat
aur aashiq-e-be-dil ki dua aur hi kuchh hai
aada ki mulaqat se inkar musallam
kya kahiye magar hum ne suna aur hi kuchh hai
har-chand qayamat hai teri chashm ki shoKHi
shoKHi mein magar rang-e-haya aur hi kuchh hai
han zamzama-e-bulbul-o-qumri na pe jaana
'raunaq' dil-e-nadan ki sada aur hi kuchh hai
Ghazal
NusKHe mein tabibon ne likha aur hi kuchh hai
Raunaq Tonkvi