nuqush-e-rahguzar-e-shauq sab miTa dena
rahi hai jaan so use bhi kahin ganwa dena
rah-e-hayat mein har moD par hai ek uljhan
bichhaD na jaun kahin dosto sada dena
ghubar-e-waqt ne dhundla diye hain is ke nuqush
zara charagh-e-mohabbat ki lau baDha dena
suna hai shahr mein phir aa gaya hai wo qatil
mile to dosto mera pata bata dena
talab to karna meri umr-e-raegan ka hisab
hisab tul-e-shab-e-hijr ka chuka dena
Ghazal
Nuqush-e-rahguzar-e-shauq sab miTa dena
Shahid Ishqi

