اردو हिंदी
Nuqta-e-be-nur ne minhaj-e-imkan kar diya | Shaahi Shayari
nuqta-e-be-nur ne minhaj-e-imkan kar diya

Ghazal

Nuqta-e-be-nur ne minhaj-e-imkan kar diya

Amir Nazar

;

nuqta-e-be-nur ne minhaj-e-imkan kar diya
tiliyon ke raqs ne itna to ehsan kar diya

dekhna baqi tha goya aainon ka intishaar
zindagi ko sang-zadon ne pareshan kar diya

ai sharar teri nigah-e-kaif ka tha moajiza
tira-tan dasht-o-jabal ko ru-e-taban kar diya

jab mere atraf-e-nadida fasilen khinch din
mere ehsasat ko sham-e-farozan kar diya

ahd-e-rafta ki tarashida nigahen kya milin
saat-e-be-KHwab ko bhi main ne hairan kar diya

sang-rezon ki ana se kab mujhe tha inhiraf
is liye lamhon ko 'amir' shisha-e-jaan kar diya