اردو हिंदी
Nuqsan kya bataen hamara kiya bahut | Shaahi Shayari
nuqsan kya bataen hamara kiya bahut

Ghazal

Nuqsan kya bataen hamara kiya bahut

Obaid Siddiqi

;

nuqsan kya bataen hamara kiya bahut
is karobar-e-dil ne KHasara kiya bahut

chaaron taraf the phul shafaq ke khile hue
jis sham aasman ka nazara kiya bahut

ab kya karun ki shor mein aawaz dab gai
main us ko shahr-e-jaan mein pukara kiya bahut

shabnam se pyas tu ne yaqinan bujhai hai
main ne bhi aansuon pe guzara kiya bahut