اردو हिंदी
Numud o bud ko aaqil habab samjhe hain | Shaahi Shayari
numud o bud ko aaqil habab samjhe hain

Ghazal

Numud o bud ko aaqil habab samjhe hain

Meer Anees

;

numud o bud ko aaqil habab samjhe hain
wo jagte hain jo duniya ko KHwab samjhe hain

kabhi bura nahin jaana kisi ko apne siwa
har ek zarre ko hum aaftab samjhe hain

ajab nahin hai jo shishon mein bhar ke le jaen
in aansuon ko farishte gulab samjhe hain

zamana ek tarah par kabhi nahin rahta
isi ko ahl-e-jahan inqilab samjhe hain

unhin ko dar-e-baqa ki hai puKHtagi ka KHayal
jo be-sabaati-e-dahr-e-KHarab samjhe hain

shabab kho ke bhi ghaflat wahi hai piron ko
sahar ki nind ko bhi shab ka KHwab samjhe hain

lahad mein aaen nakirain aaen bismillah
har ek sawal ka hum bhi jawab samjhe hain

agar ghurur hai aada ko apni kasrat par
to is hayat ko hum bhi habab samjhe hain

na kuchh KHabar hai hadison ki in safihon ko
na ye maani-e-ummul-kitab samjhe hain

kabhi shaqi mutamatta na honge duniya se
jise ye aab use hum sarab samjhe hain

muzil-e-aql hai duniya ki daulat ai munim
usi ke nashshe ko sufi sharab samjhe hain

hararaten hain maal-e-halawat-e-duniya
wo zahr hai jise hum shahd-e-nab samjhe hain

'anis' maKHmal o diba se kya faqiron ko
isi zamin ko hum farsh-e-KHwab samjhe hain