numu to pahle bhi tha iztirab main ne diya
phir us ke zulm-o-sitam ka jawab main ne diya
wo ek Dubti aawaz-e-bazgasht ki aa
sawal main ne kiya tha jawab main ne diya
wo aa raha tha magar main nikal gaya kahin aur
sau zaKHm-e-hijr se baDh kar azab main ne diya
agarche honTon pe pani ki bund bhi nahin thi
sulagte lamhon ko ek sail-e-ab main ne diya
khula hai pahlu-e-pur-josh be-mahaba aa
ek aur mashwara-e-inqilab main ne diya
ye mujh se girya-e-bebak kyun nahin hota
to apne dard ko KHud pech-o-tab main ne diya
naKHil o kisht ko sairab main nahin karta
zamin ko qarz magar be-hisab main ne diya
badan KHud apni hi tajsim kar nahin pate
qarib aaya to aankhon ko KHwab main ne diya
Ghazal
Numu to pahle bhi tha iztirab maine diya
Abul Hasanat Haqqi