numu-pazir hun har dam ki mujh mein dam hai abhi
mera maqam hai jo bhi wo mujh se kam hai abhi
tarash aur bhi apne tasawwur-e-rab ko
tere KHuda se to behtar mera sanam hai abhi
nahin hai ghair ki tasbih ka koi imkan
mere labon pe to zikr-e-manam manam hai abhi
'turab' par kahan hota hai ye KHuda ka KHala
mere wajud ke andar kahin adam hai abhi

Ghazal
Numu-pazir hun har dam ki mujh mein dam hai abhi
Ata Turab