numu ki KHak se uTThega phir lahu mera
aqab se war kare chahe jang-ju mera
lakir khinch ke mujh pe wo phir mujhe dekhe
nigar-o-naqsh mein chehra hai hu-ba-hu mera
raqib-e-tishna tu ji bhar ke KHak chaTega
chaTaKH ke TuT gaya hath mein subu mera
main apni ruh ki tarikiyon mein jhank chuka
nikal saka na kamin-gah se adu mera
ye rup apne masiha ka dekh kar 'saqib'
aTak ke rah hi gaya sans dar-gulu mera
Ghazal
Numu ki KHak se uTThega phir lahu mera
Asif Saqib