اردو हिंदी
Numu ke faiz se rang-e-chaman nikhar sa gaya | Shaahi Shayari
numu ke faiz se rang-e-chaman nikhar sa gaya

Ghazal

Numu ke faiz se rang-e-chaman nikhar sa gaya

Taban Ghulam Rabbani

;

numu ke faiz se rang-e-chaman nikhar sa gaya
magar bahaar mein dil shorishon se Dar sa gaya

jafa-e-dost bahut sazgar aai hai
KHarab ho ki ye dil aur kuchh sanwar sa gaya

na jaane baad-e-saba kya payam lai thi
ki phul hans to diya phir bhi munh utar sa gaya

ba-faiz-e-shauq ye din dekhna nasib hua
ki sar se dard ka tufan guzar guzar sa gaya

tilism-e-bazm fusun-e-jamal sehr-e-shabab
nigah-e-shauq ka daman gulon se bhar sa gaya

wo sham ho gai mansub un ki yaad ke nam
charagh jal sa gaya dagh-e-dil ubhar sa gaya

wo ek shoKH ka andaz-e-guftugu 'taban'
jigar mein tanz ka nashtar utar utar sa gaya