nukta-chini hai aur aarastan-e-daman hai
jama-e-yar mein anqa shikan-e-daman hai
daman-e-gul se bhi halka wazan-e-daman hai
is pe bhi bar use ek ek shikan-e-daman hai
kisi bekas ke lahu ke hain ye chhinTe qatil
gul-e-hasrat se jo phula chaman-e-daman hai
us ka ye kahna ki bas bas mera daman chhoDo
naqsh sine pe wo dilkash suKHan-e-daman hai
tum ne puchha gul-e-ruKHsar hai kya daman se
aaj kuchh aur bahaar-e-chaman-e-daman hai
garmi-e-husn sharar-rez hai munh is se na Dhank
mujh ko ai jaan KHatar-e-soKHtan-e-daman hai
munh pe hai us ke jo daman-e-qaba-e-shabnam
ban gaya aaina-e-saf tan-e-daman hai
chakh chalo sab se un aankhon ki qasam ai 'tanwir'
ain taslim-e-sar-andaKHtan-e-daman hai

Ghazal
Nukta-chini hai aur aarastan-e-daman hai
Tanvir Dehlvi