اردو हिंदी
Nok-e-shamshir ki ghat ka silsila yun pas-e-aina kal utara gaya | Shaahi Shayari
nok-e-shamshir ki ghat ka silsila yun pas-e-aina kal utara gaya

Ghazal

Nok-e-shamshir ki ghat ka silsila yun pas-e-aina kal utara gaya

Suraj Narayan

;

nok-e-shamshir ki ghat ka silsila yun pas-e-aina kal utara gaya
meri pahchan ke aks jitne bane koi zaKHmi hua koi mara gaya

ghair-mahsus raston se aati rahi ek sada wapsi ki mere kan mein
goya gunge ishaaron ki dahliz par mujh ko aankhon se us din pukara gaya

ye na puchhe koi mausam-e-rang ki pahli pahli adawat ne kya dukh diye
phul ki aag par shab guzari gai KHar ki nok par din guzara gaya

aaj us ke lahu ki har ek bund ke zard hone pe KHushiyan manai gain
kuchh dinon pahle jis rahnuma ke liye chand taron se rasta sanwara gaya

aap pi pi ke lamhon ki sab barishen zindagi ke makan par barasti rahin
is liye to pighal kar mere jism ki sari miTTi gai sara gara gaya

wo jo unche mahal the mere samne ghaur se un ko dekha to mujh par khula
kin manaron se chandi churai gai kin manaron se sona utara gaya