nizam-e-tabiat se ghabra gaya dil
tabiat ki ab barhami chahta hun
meri be-qarari se KHush hone wale
na KHush ki main bhi yahi chahta hun
jafa ko bhi teri jo sharminda kar de
wo mazlum main zindagi chahta hun
ghazab hai ye ehsas warastagi ka
ki tujh se bhi KHud ko bari chahta hun
sar-e-dar mansur ko thi jo hasil
main 'hadi' wahi zindagi chahta hun
Ghazal
Nizam-e-tabiat se ghabra gaya dil
Hadi Machlishahri