nizam-e-gulshan-e-hasti badal ke dam lenge
hudud-e-ranj-o-alam se nikal ke dam lenge
shuur hasil-e-maqsad jise samajhta hai
ye azm hai usi manzil pe chal ke dam lenge
mata-e-amn luTaenge hum zamane mein
nizam-e-jabr-o-tashaddud kuchal ke dam lenge
nadim bahr-e-musibat mein surat-e-tufan
machal machal ke uThenge sambhal ke dam lenge
nahin pasand riwaj-e-kohan hamein 'qaisar'
nae nizam ke sanche mein Dhal ke dam lenge
Ghazal
Nizam-e-gulshan-e-hasti badal ke dam lenge
Qaisar Nizami