nizam-e-fikr ne badla hi tha sawal ka rang
jhalak uTha kai chehron se infial ka rang
na gul-kadon ko mayassar na chand-taron ko
tere visal ki KHushbu tere jamal ka rang
zara si der ko chehre damak to jate hain
KHushi ka rang ho ya ho gham-o-malal ka rang
zamana apni kahani suna raha tha hamein
ubhar gaya magar aaghaz mein maal ka rang
asir-e-waqt hai to main hun waqt se aazad
tere uruj se achchha mere zawal ka rang
ba-san-e-taKHta-e-gul meri fikr hai aazad
misal-e-qaus-e-quzah hai mere KHayal ka rang
Ghazal
Nizam-e-fikr ne badla hi tha sawal ka rang
Ejaz Siddiqi