niyaz-o-naz ki ye shan-e-zebai nahin jati
hamari KHud-sari un ki KHud-arai nahin jati
hazaron aaine ho kar muqabil TuT jate hain
magar husn-e-azal ki shan-e-yaktai nahin jati
koi dilkash nazara ho koi dilchasp manzar ho
tabiat KHud bahal jati hai bahlai nahin jati
mohabbat ki haqiqat kam nahin asrar-e-hasti se
samajh leta hun lekin mujh se samjhai nahin jati
ba-zahir zabt-e-paiham bhi sharik-e-dard-e-ulfat hai
'shakil' is par bhi apne dil ki ruswai nahin jati
Ghazal
Niyaz-o-naz ki ye shan-e-zebai nahin jati
Shakeel Badayuni