niyaz-o-naz ka paikar na arsh par Thahra
zamin ki god mein utra to barwar Thahra
gada-e-kucha-e-ulfat ne aabru pai
dayar-e-shauq mein sultan se mo'tabar Thahra
jise nazar ne sunaya jise nazar ne suna
wo git barbat-e-hasti ka zaKHma-war Thahra
wafa ki rah mein nikle to rahdan ki tarah
tere jamal ka partaw bhi ham-safar Thahra
charagh dur se dekhun to raushni le lun
yahi tariq-e-gadai mera hunar Thahra
wo ek shaKHs ki gumnam tha KHudai mein
tumhaare nam ke sadqe mein namwar Thahra
wo durr-e-nab ki sipi mein band tha 'kausar'
kisi ne DhunD nikala to KHub-tar Thahra
Ghazal
Niyaz-o-naz ka paikar na arsh par Thahra
Hameed Kausar