nishat-e-manzil-e-qalb-o-nazar ko yaad karo
safar mein apne kisi ham-safar ko yaad karo
baDe KHulus se tarik raston pe chalo
baDe tapak se husn-e-sahar ko yaad karo
jale charagh to chupke se nam lo mera
mile KHushi to meri chashm-e-tar ko yaad karo
jo dil mein rah ke bhi anjaan si rahi barson
kisi ki us nigah-e-fitna-gar ko yaad karo
dil-e-hazin ka taqaza hai jada-e-gham mein
nazar ke sath fareb-e-nazar ko yaad karo
qadam qadam pe jahan zindagi nikharti thi
kisi ke pyar ki us rahguzar ko yaad karo
hai jis ke faiz se ab tak bhi raushni ghar mein
'rais' ab bhi usi chashm-e-tar ko yaad karo
Ghazal
Nishat-e-manzil-e-qalb-o-nazar ko yaad karo
Raees Akhtar

