nishan kisi ko milega bhala kahan mera
ki ek ruh tha main jism tha nishan mera
har ek sans naya sal ban ke aata hai
qadam qadam abhi baqi hai imtihan mera
meri zamin mujhe aaghosh mein sameT bhi le
na aasman ka rahun main na aasman mera
chala gaya tere hamrah KHauf-e-ruswai
ki tu hi raaz tha aur tu hi raaz-dan mera
tujhe bhi meri tarah dhup chaT jaegi
agar raha na tere sar pe saeban mera
malal-e-rang-e-jalal-o-jamal Thahra hai
dayar-e-sang hua hai dayar-e-jaan mera
kai 'najib' isi aag se janam lenge
ki meri rakh se banna hai aashiyan mera

Ghazal
Nishan kisi ko milega bhala kahan mera
Najeeb Ahmad