اردو हिंदी
Nisbat wahi mah-e-asman se | Shaahi Shayari
nisbat wahi mah-e-asman se

Ghazal

Nisbat wahi mah-e-asman se

Sakhi Lakhnvi

;

nisbat wahi mah-e-asman se
laen tashbih-e-ruKH kahan se

missi ki sifat bayan na hogi
sausan bhi kahe jo sau zaban se

tashbih jo mang ki na hath aae
laun main mang kahkashan se

sauda hai jo bulbulon ko gul ka
tinke chun laen aashiyan se

ye haarij-e-shab wo mane-e-roz
darban se laDun ki pasban se

jitenge na hum se bazi-e-ishq
aghyar ke piT paDenge panse

hai qadr-e-suKHan 'saKHi' ko hasil
yan ke har pir aur jawan se