اردو हिंदी
Nisar us par na hone se na tang aaya na aar aai | Shaahi Shayari
nisar us par na hone se na tang aaya na aar aai

Ghazal

Nisar us par na hone se na tang aaya na aar aai

Kaifi Hyderabadi

;

nisar us par na hone se na tang aaya na aar aai
mere kis kaam aaKHir zindagi-e-mustaar aai

yahin dekha ki ghalba ek ko hota hai lakhon par
tabiat ek bar aai nadamat lakh bar aai

tere dil se tere lab tak teri aankhon se mizhgan tak
mohabbat be-qarar aai murawwat sharmsar aai

sharab-e-ishq se karne ko tha tauba ki yar aaya
mere aaDe ye neki kab ki ai parwardigar aai

dil-e-mahzun ki aahen mast karti hain mujhe 'kaifi'
ki jab li sans main ne mujh ko bu-e-zulf-e-yar aai