اردو हिंदी
NipTenge dil se marka-e-rah-guzar ke baad | Shaahi Shayari
nipTenge dil se marka-e-rah-guzar ke baad

Ghazal

NipTenge dil se marka-e-rah-guzar ke baad

Parvez Shahidi

;

nipTenge dil se marka-e-rah-guzar ke baad
lenge safar ka jaeza KHatm-e-safar ke baad

uThne ko in ki bazm mein sab ki nazar uThi
itna magar kahunga ki meri nazar ke baad

sab zor ho raha hai meri sar-kashi pe sarf
kya hoga haal-e-dar-o-rasan mere sar ke baad

ku-e-sitam se guzren to shoridgan-e-ishq
hansne lagenge zaKHm-e-jigar zaKHm-e-sar ke baad

barq-e-sitam ko nazr karun bhi to kya karun
ab kya raha hai aag lagane ko ghar ke baad

be-KHwab kar rahe hain shab-e-gham ke marhale
aankhen jhapak na jaen tulu-e-sahar ke baad

hoga tawil aur bhi afsana-e-wafa
ahl-e-jafa ke tantana-e-muKHtasar ke baad