اردو हिंदी
Nikohish hai saza fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar ki | Shaahi Shayari
nikohish hai saza fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar ki

Ghazal

Nikohish hai saza fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar ki

Mirza Ghalib

;

nikohish hai saza fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar ki
mabaada KHanda-e-dandan-numa ho subh mahshar ki

rag-e-laila ko KHak-e-dasht-e-majnun reshgi baKHshe
agar bowe baja-e-dana dahqan nok nishtar ki

par-e-parwana shayad baadban-e-kashti-e-mai tha
hui majlis ki garmi se rawani daur-e-saghar ki

karun be-dad-e-zauq-e-pur-fishani arz, kya qudrat!
ki taqat uD gai uDne se pahle mere shahpar ki

kahan tak roun us ke KHeme ke pichhe qayamat hai
meri qismat mein ya-rab kya na thi diwar patthar ki

ba-juz diwangi hota na anjam-e-KHud-arai
agar paida na karta aaina zanjir jauhar ki

ghurur-e-lutf-e-saqi nashsha-e-be-baki-e-mastan
nam-e-daman-e-isyan hai tarawat mauj-e-kausar ki

mera dil mangte hain aariyat ahl-e-hawas shayad
ye jaana chahte hain aaj dawat mein samundar ki

'asad' juz aab-e-baKHshidan ze-dariya KHizr ko kya tha
Dubota chashma-e-haiwan mein gar kashti sikandar ki