nikli jo ruh ho gae ajza-e-tan KHarab
ek shama bujh gai to hui anjuman KHarab
kyun Dalta hai KHak ki hoga kafan KHarab
main hun safed-posh na kar pairahan KHarab
ji mein ye hai ki dil hi ko sajde kya karun
dair-o-haram mein log hain ai jaan-e-man KHarab
nazuk dilon ka husn hai rang-e-shikastagi
phaTne se kab gulon ka hua pairahan KHarab
duniya ne munh pe Dala hai parda sarab ka
hote hain dauD dauD ke tishna-dahan KHarab
iblis se ye kahta hai lanat ka tauq rose
aadam KHarab ya sifat ma-o-man KHarab
kya KHushnuma ho KHizr baDhe gar libas-e-umr
qad se jo ho daraaz to ho pairahan KHarab
mera salam-e-ishq alaihis-salam ko
KHusraw idhar KHarab udhar kohkan KHarab
yusuf ke husn ne ye zuleKHa ko di sada
lo ungliyan kaTin wo hue tana-zan KHarab
gar bas chale to aap phirun apne gird mein
kabe ko ja ke kaun ho ai jaan-e-man KHarab
zaKHmi hua hai nam ko dar-parda husn bhi
yusuf ka KHun-e-gurg se hai pairahan KHarab
wada kiya hai ghair se aur wo bhi wasl ka
kulli karo huzur hua hai dahan KHarab
ai KHak-e-gor dekh na dhabba lage kahin
rakh dun abhi utar ke gar ho kafan KHarab
kaisi bhi ho zamin ajab hal hai tab-e-tez
'mail' jo boen hum na ho tuKHm-e-suKHan KHarab
Ghazal
Nikli jo ruh ho gae ajza-e-tan KHarab
Ahmad Husain Mail