nikle teri duniya ke sitam aur tarah ke
darkar mere dil ko the gham aur tarah ke
tum aur tarah ke sahi hum aur tarah ke
ho jaen bas ab qaul-o-qasam aur tarah ke
but-KHane ka manzar ba-KHuda aaj hi dekha
the mere tasawwur mein sanam aur tarah ke
karti hain mere dil se wo KHamosh nigahen
kuchh ramz ishaaron se bhi kam aur tarah ke
gham hote rahe dil mein kam-o-besh wa-lekin
besh aur tarah ke hue kam aur tarah ke
mayus talab jaan ke is dasht-e-hawas mein
yaron ne diye hain mujhe dam aur tarah ke
rahti hai kisi aur taraf aas nazar ki
hain waqt ke hathon mein alam aur tarah ke
rahbar ka to andaz-e-qadam aur hi kuchh tha
hain qafile walon ke qadam aur tarah ke
kuchh aur hain us husn-e-basanti ki adaen
hain naz nigaran-e-ajam aur tarah ke
kahte ho ki phiki si runakhi si hain ghazlen
lo sher sunaen tumhein hum aur tarah ke
ye kis ne kiya yaad kahan jate ho 'haqqi'
kuchh aaj to paDte hain qadam aur tarah ke
Ghazal
Nikle teri duniya ke sitam aur tarah ke
Shaanul Haq Haqqi

