nikle ho kis bahaar se tum zard-posh ho
jis ki nawed pahunchi hai rang-e-basant ko
di bar mein ab libas-e-basanti ko jaise ja
aise hi tum hamare bhi sina se aa lago
gar hum nashe mein bosa kahen do to lutf se
tum pas munh ko la ke ye hans kar kaho ki lo
baiTho chaman mein nargis o sad-barg ki taraf
nazzara kar ke aish-o-masarrat ki dad do
sun kar basant mutrib-e-zarrin-libas se
bhar bhar ke jam phir mai-e-gul-rang ke piyo
kuchh qumriyon ke naghma ko do samea mein rah
kuchh bulbulon ka zamzama-e-dil-kusha suno
matlab hai ye 'nazir' ka yun dekh kar basant
ho tum bhi shad dil ko hamare bhi KHush karo
Ghazal
Nikle ho kis bahaar se tum zard-posh ho
Nazeer Akbarabadi