اردو हिंदी
Nikle chale aate hain tah-e-KHak se khane | Shaahi Shayari
nikle chale aate hain tah-e-KHak se khane

Ghazal

Nikle chale aate hain tah-e-KHak se khane

Ismail Merathi

;

nikle chale aate hain tah-e-KHak se khane
ye KHwan-e-karam kis ne bichhaya hai KHuda ne

jo dil mein hai munh phoD ke barwar nahin kahte
mara mujhe yaron ki durust aur baja ne

ghaflat mein hain sar-mast badalte nahin karwaT
go sar pe uTha li hai zamin shor-e-dara ne

israf ne arbab-e-tamawwul ko Duboya
aalim ko tafaKHur ne to zahid ko riya ne

mard us ko samajhte na kiya ho jise badmast
ayyam-e-jawani ki mai-e-hosh-ruba ne

ba-in-hama darmandagi insan ke ye dawe
kya zat-e-sharif in ko banaya hai KHuda ne

jalwat ka bharosa hai na KHalwat ki tawaqqo
sab wahm tha yaron ne jo take the Thikane