اردو हिंदी
Nikla jo chilmanon se wo chehra aaftabi | Shaahi Shayari
nikla jo chilmanon se wo chehra aaftabi

Ghazal

Nikla jo chilmanon se wo chehra aaftabi

Fayyaz Farooqi

;

nikla jo chilmanon se wo chehra aaftabi
ek aan mein ufuq ka aanchal hua gulabi

ruKH se naqab un ke sarka hua hai kuchh kuchh
diwana kar na Dale ye nim-be-hijabi

sau jam ka nasha hai saqi teri nazar mein
kahte hain baada-kash bhi mujh ko tera sharabi

bekar lag rahi hain duniya ki sab kitaben
dekhi hai jab se main ne surat teri kitabi

murjhae phul sab hain kaliyon ne sar jhukae
gulshan mein ek sitam hai ye teri be-naqabi

kab chain se raha hai ye fikr ka parinda
'fayyaz' ki hai fitrat kis darja iztirabi