nikla hai chand shab ki pazirai ke liye
ye uzr kam hai anjuman-arai ke liye
tha bolna to ho gae KHamosh hum sabhi
kya kuchh kiya hai shohrat o ruswai ke liye
pal bhar mein kaise log badal jate hain yahan
dekho ki ye mufid hai binai ke liye
sarsabz meri shaKH-e-hunar kyun nahin hui
ye masala hai tere tamannai ke liye
hai aaj ye gila ki akela hai 'shahryar'
tarsoge kal hujum mein tanhai ke liye
Ghazal
Nikla hai chand shab ki pazirai ke liye
Shahryar