nikhre to jagmaga uThe bikhre to rang hai
suraj tere badan ka baDa shoKH o shang hai
tarikiyon ke par chamakti hai koi shai
shayad mere junun-e-safar ki umang hai
kitne ghamon ka bar uThae hue hai dil
ek zawiye se shisha-e-nazuk bhi sang hai
sahra ki god mein bhi milenge bahut se phul
ye apne apne taur pe jine ka Dhang hai
shayad junun hi ab to kare rahbari 'asar'
hum us maqam par hain jahan aql dang hai
Ghazal
Nikhre to jagmaga uThe bikhre to rang hai
Izhar Asar