اردو हिंदी
Nikhra KHizan se rang-e-bahaaran hai in dinon | Shaahi Shayari
nikhra KHizan se rang-e-bahaaran hai in dinon

Ghazal

Nikhra KHizan se rang-e-bahaaran hai in dinon

Sajjad Baqar Rizvi

;

nikhra KHizan se rang-e-bahaaran hai in dinon
viraniyon se baDh ke gulistan hai in dinon

kam-maya mor mail-e-parwaz kyun hue
barham bahut mizaj-e-sulaiman hai in dinon

phir tez ho chali hai hawa-e-fareb-e-ishq
kitna hasin ahd hai paiman hai in dinon

shaiKH aa gaya bulandi-e-mimbar se farsh par
phir sazish-e-buland ka imkan hai in dinon

khinchi ajib karb se sahil ne aah-e-sard
goya sukut bar-lab-e-tufan hai in dinon

phir baDh ke hum ne jam-e-tamanna uTha liya
phir ek nai shikast ka arman hai in dinon

wo daur-e-hadsat-e-jahan hai ki al-aman
apna to bas KHuda hi nigahban hai in dinon