اردو हिंदी
Nikhat-o-rang na mausam ki hawa Thahri hai | Shaahi Shayari
nikhat-o-rang na mausam ki hawa Thahri hai

Ghazal

Nikhat-o-rang na mausam ki hawa Thahri hai

Bakhtiyar Ziya

;

nikhat-o-rang na mausam ki hawa Thahri hai
gul ki qismat mein ba-har-haal fana Thahri hai

zaKHm-e-dil khil uThe hanste hue phulon ki tarah
ek lamhe ko jahan baad-e-saba Thahri hai

maut ko kahiye ilaj-e-gham-e-hasti lekin
zindagi kaun se jurmon ki saza Thahri hai

aur mansur koi mashhad-e-hasti mein na tha
laeq-e-dar jo ek meri ana Thahri hai

husn-e-muKHtar hai har baat rawa hai is ko
fitrat-e-ishq to paband-e-wafa Thahri hai

koi naghma koi jhankar koi hosh-ruba
dil hi bahla len tabiat jo zara Thahri hai