nikhat jo teri zulf-e-moambar se uDi hai
kab KHuld mein KHushbu wo gul-e-tar se uDi hai
hasrat bhari nazron se use dekh raha hun
wo aab jo chalte hue KHanjar se uDi hai
ek qabiz-e-arwah ke hamrah meri ruh
paikar se jo nikli to barabar se uDi hai
wahshat ke sabab jab mera ghar ho gaya viran
tab ghar ke ujaDne ki KHabar ghar se uDi hai
rindon ki bhi qismat ki KHarabi ka hai afsos
mai ban ke pari shisha-o-saghar se uDi hai
saqi ne tujhe tishna hi rakkha hai 'zahir' ab
shayad mai-e-ishrat bhi muqaddar se uDi hai
Ghazal
Nikhat jo teri zulf-e-moambar se uDi hai
Sayyad Zahiruddin Zaheer