nikhat-e-zulf ko ham-rishta-e-jaan kahta hun
hosh aata hai to KHwab-e-guzaran kahta hun
dard ko daulat-e-sahab-nazaran kahta hun
gham ko sarmaya-e-isa-nafasan kahta hun
koi samjhe ki na samjhe magar ai sham-e-haram
main tujhe shola-e-ruKHsar-e-butan kahta hun
qatra dariya hai to kyun shorish-e-dariya-talabi
har tamanna ko mohabbat ka ziyan kahta hun
hai wo aawaz-e-shikast-e-dil-e-giti jis ko
jaras-e-qafila-e-umr-e-rawan kahta hun
tohmat-e-sabza-e-begana hai sang-e-bedad
main to kanTon ko bhi phulon ki zaban kahta hun
kaun samjhega mere husn-e-yaqin ka aalam
arsh o tuba ko hijabaat-e-guman kahta hun
banda-e-KHak-nashinan-e-mohabbat hun 'rawish'
KHak ko masnad-e-ashufta-saran kahta hun
Ghazal
Nikhat-e-zulf ko ham-rishta-e-jaan kahta hun
Ravish Siddiqi

