nikharna aql-o-KHirad ka agar zaruri hai
junun ki rahbari mein safar zaruri hai
haqiqaton se jo hota hai aashna ai dost
to is ke waste rah-e-KHatar zaruri hai
kisi ki nichi nazar ka salam sath rahe
safar ke waste zad-e-safar zaruri hai
magar ye shart hai har lafz ruh se nikle
dua-e-nim-shabi mein asar zaruri hai
dilon ka haal na chehron se ho sake zahir
KHirad ke daur mein ye bhi hunar zaruri hai
'obaid' dusron ko kar chuke bahut talqin
ab apne aap pe bhi ek nazar zaruri hai
Ghazal
Nikharna aql-o-KHirad ka agar zaruri hai
Obaidur Rahman