nikalne wale na the zindagi ke khel se hum
ki chain khinch ke utre the KHud hi rail se hum
raha nahin bhi wo karta to masala nahin tha
farar yun bhi to ho jate us ki jail se hum
suKHan mein shoabada-bazi ke hum nahin qail
bandhe hue hain riwayat ki nakel se hum
jise bhi dekho lubhaya hua hai duniya ka
so bach gae hain miyan kaise is rakhel se hum
agar ye tai hai ki farhad-o-qais murda-baad
to baz aae mohabbat ki dagh-bel se hum
akele rahte to shayad na dekhta koi
sitara ho gae ek raushni ke mel se hum
hum aise peD bas itni si baat par KHush the
ki bel hum se lipaTti hai aur bel se hum
KHuda ne qar-e-falakat mein hum ko jhonk diya
bigaD gae the suhulat ki rel-pel se hum
Ghazal
Nikalne wale na the zindagi ke khel se hum
Shozeb Kashir