nikalna ho dil se dushwar kyun
ye ek aah hai is ka paikan nahin
ye hath us ke daman talak pahunche kab
rasai jise ta-gareban nahin
falak ne bhi sikhe hain tere se taur
ki apne kiye se pasheman nahin
mera nama-e-shauq talwon tale
na maliye ye KHun-e-shahidan nahin
usi ki si kahne lage ahl-e-hashr
kahin pursish-e-dad-KHwahan nahin
Ghazal
Nikalna ho dil se dushwar kyun
Mufti Sadruddin Aazurda