nikal raha hun yaqin ki had se guman ki jaanib
safar hai mera zamin se aasman ki jaanib
munDer par koi chashm-e-tar thi ki aaina tha
sitara-e-sham dekhta tha makan ki jaanib
ye KHwab hai ya tilism koi ki KHushk patte
khinche chale ja rahe hain aab-e-rawan ki jaanib
koi to upar se bojh Dala gaya hai warna
jhuka hua aasman hai kyun KHak-dan ki jaanib
to phir mere sath us ka chalna muhaal Thahra
dhyan rahta tha us ka sud-o-ziyan ki jaanib
sukunat-e-qalb KHali sine pe aise utri
aman KHudi chal ke aa gai be-aman ki jaanib
Ghazal
Nikal raha hun yaqin ki had se guman ki jaanib
Akram Mahmud