nikal paDe hain sanam raat ke shiwale se
kuchh aaj shahr-e-ghariban mein hain ujale se
chalo palaT bhi chalen apne mai-kade ki taraf
ye aa gae kis andhere mein hum ujale se
KHuda kare ki bikhar jaen mere shanon par
sanwar rahe hain ye baadal jo kale kale se
buton ki KHalwat-e-rangin mein bazm-e-anjum mein
kahan kahan na gae hum tere hawale se
junun ki wadi-e-azad mein talab kar lo
nikal lo hamein sham-o-sahar ke haale se
hayat-e-asr mujhe pher de mera mazi
hasin tha wo andhera tere ujale se
koi manae to kaise manae dil ko 'shamim'
ye baat puchhiye ek ruTh jaane wale se

Ghazal
Nikal paDe hain sanam raat ke shiwale se
Shamim Karhani