nikal ke ghar se aur maidan mein aa ke
zara kuchh dekhiye tewar hawa ke
koi zinda raha hai kab jahan mein
charagh-e-dil ko apne KHud bujha ke
hamari KHamushi bhi ek nawa thi
mile kab sunne wale hain nawa ke
pashiman ek muddat tak raha hai
koi dar se mujhe apne uTha ke
ye dil hai dil ise sine mein hargiz
kabhi rakhna na tum patthar bana ke
'faraaz' aksar raha karta hai tanha
andhere mein charagh-e-dil jala ke
Ghazal
Nikal ke ghar se aur maidan mein aa ke
Faraz Sultanpuri