nikal kar saya-e-abr-e-rawan se
rahe hum muddaton be-saeban se
zamin par chand aana chahta hai
utar kar kashti-e-ab-e-rawan se
nigahen DhunDti hain raftagan ko
sitare TuTte hain aasman se
manate KHair kya hum jism o jaan ki
use chaha tha hum ne jism o jaan se
'rasa' kis ahd-e-na-pursan mein hum ne
liya hai kaam harf-e-raegan se
Ghazal
Nikal kar saya-e-abr-e-rawan se
Rasa Chughtai

